Imc Products Kyon Lene Chahiye |
2022 Mein Imc Products Kyon Lene Chahiye
Har customer ko Imc Products kyon lene chahiye aur kya inke side effects hain. Imc Products lene k benefits kya hai? Iske baare mein detail mein neeche jaankari di hui hai.
1) Aapki company ka naam kabhi suna nahi hai?
Hamari company direct customer k saath deal karti hai. Hamare team leaders dwara product k baare mein detail jaankari dekar logo tak product ponchaya jaata hai. Hamara product tv ad ki bajaye zubani parchaar ke madyam se apni gunvata k aadhar par bikta hai. Ek baar hamara product kharidne wale log iski kwality ki vajah se hamesha fir hamare product kharidte rehte hain.
2) Aapki advertisement nahi aati aapke products par kaise vishvaas kare?
Har advertisement dene wali company ka product 90% ausat logon ko lubhane k liye banaya jaata hai. Jaise 5 se 20 lakh tak ki Maruti, Nisan, Honda, Toyota, Ford gadiyon ki hamesha advertisement aati hai. Lekin Mercedes, BMW, Audi, Jaguar, Porche, Land Rovers gaadi ki kabhi bhi Ad nahi aati. Fir bhi kuch amir aur shokeen log in gadion ko lakhon rupaye dekar inke advance features ki vajah se kharidte hain. Usi tarah hamare quality product apni product aur result ki vajah se bikte hain. Hamare product k baare mein sirf ek baar hi customer ko batana padta hai. Uske baad customer isi product ko hamesha dhundta hai. Itne pyor aur fast results wale products ke liye lubhavne advertisement dene ki zarurat nahi hai. Kyoki pyor products ki manufacturing seemit matra mein hoti hai.
3) Aapke Imc Products ka side effect toh nahi hai?
Hamare products lambi research aur development (R&D)ke baad bante hain. Hamare products 100% organic, WHO Certified, bina chemical wale, ayurvedic vibhag dwara permanit aur HACCP (Hazard Analysis Critical Control Point) certified matlab bina side effect permanit hote hain. Sirf angrezi dawai k side effect hote hain. Ayurvedic dawai ka vaise bhi koi side effect nahi hota. Hamare products ka toh bilkul bhi nahi.
4) Aapka product itna acha hai toh fir market mein kyon nahi milta?
Hamare products uch gunwata wale hote hain. Market mein wahi products bikte hain, jinki advertisement aati hai. Hamare product market mein launch karne par inki keemat bahut zada rakhni padegi. Isliye company ne mouth to mouth publicity ke raaste ko chuna aur advertisement par hone wale kharch ka benefit apne customer ko discount k roop mein dene ka faisla liya, aur iske product ka prachar karne ki zimedari apne customers ko dekar unko ek achi aamdni karne ka avsar diya hai. Aaj laakhon log hamari company k product aur Imc business model ka prachar karke laakhon rupaye kama rahe hain. Isme har register customer ke liye sunehra avsar hai.
5) Aapke products ki kya guarantee hai?
Hamare products par 100% satisfaction guarantee likha rehta hai. Jo ke aapko market ke kisi aur company k products par likha nahi milega. Sahi niyam se product ka istemaal karne se 100% results dekhne ko milte hain. Inki gunwata uch star ki hai. Ek baar ache se hamare bina chemical wale products istemaal karne k baad koi b vyakti kabhi dusri company ka product istemaal nahi karta. Imc Shri Tulsi aaj vishav ki number 1 fast result oriented Tulsi k naam se jaani jaati hai.
6) Sabhi apne products ko acha hi bolte hain?
Bilkul sahi kaha aapne, jinka product acha hoga vo acha hi bolega. Lekin hum bolne k saath saath likhkar b dete hain. Hamare har product par hamari quality k baare mein likha bhi rehta hai. Lekin quality ki aakri parkh tab hoti hai jab customer hamare product istemaal karne k baad satisfy hota hai. Main khud hairan hu ke har customer hamare products ki hamesha dil kholkar tarif karta hai. Maine khud har product istemaal kiya hai, main khud hairan hu ke kaise koi company itne kam rate mein itne jadui product humein istemaal karne ke liye de sakti hai.
7) Aapka product bahut mehnga hai aam aadmi inko kaise kharidega?
Aapne sahi kaha hamari company ke product ek baar dekhne mein mehnge lagte hain, lekin yadi aap calculation karenge toh hamare product market ke advertisement ke dwara bikne wale product se bhi saste padte hain. Chaliye isko kuch udharan ke saath samjte hain.
Example 1: Yadi aap Imc ki organic Haldi istemaal karte hain, jiski keemat 40 rupaye hai sabzi mein daalne par ye adha chamach hi lagegi. Utni hi sabzi mein yadi aap market ki koi bhi haldi dalenge jiski keemat 30 rupaye hai, toh wo poora ek chamach lagegi. Aap calculation karke dekhiye Imc Haldi 10 rupaye mehngi hone k baad bhi 10 rupaye sasti padegi.
Example 2: Yadi aap market ka koi 50 rupaye wala bina ayurvedic paste 2gm brush par lagate hain, toh Imc Ayurvedic Paste jo daant saaf hi nahi karta balke daanto ke saare rog bhi dur karta hai, yeh brush par 1gm hi lagana padta hai. Is tarah Imc ka paste 40 rupaye mehnga hone k baad bhi ye 5 rupaye sasta padega.
Example 3: Yadi aap market se 200 rupaye litre wala Aloevera ki 20 bottle peete hain toh total aapka 4000 lagega. Yadi aap Imc ka uch gunwata wala organic 550 rupaye litre wala Aloevera Juice 4 bottle peete hain, toh total aapka 2200 rupaye lagega. Lekin aapko yeh jaankar hairani hogi ke Imc Aloevera ki 4 bottle se aapko market ke Aloevera ki 20 bottle se bhi zada fayda hoga, aur aapko hamara Aloevera 1800 rupaye sasta padega.
8) Aapka product dubara lena ho toh kaha milega?
Hamari company ka product poore Bharat mein uplabdh hai. Aap apna mobile number aur Id proof dijiye. Aapka hum free discount card banakar denge. Aap poore Bharat mein kahi bhi, kabhi bhi Imc store se 30% tak discount par apne najdiki store se product kharid sakte hain. Yadi aapki zada product ki demand hogi toh aapke ghar par bhi product pohcha diye jayenge.
0 टिप्पणियाँ